Ham they hamarey sath koi teesra na tha
aisa haseen din kahee'n dekha suna na tha
Aankho'n mai uski tair rahey thay haya k rang
palkei'n uttha k meri taraf dekhta na tha
Kutch aisey uss ki jheel si aankhein thii harr taraf
ham ko siwaye doobney k raasta na tha
Uskey to ang ang mein jalney lagey diye
jadoo hai merey hath mein mujhko pata na tha
Sanso'n mein tha ghulab to honto'n pe chandni
inn manzaro'n se mai tau kabhi aashna na tha
Roya kutch iss tarah merey shaaney pe lag k wo
aisa laga k jaisey kabhi be_wafa na tha
Hai ishq ek rog, mohabbat azaab hai
ikk roz ye kharaab karengey kaha na tha
janab waha'n pe hadd koi rahti bhi kiss tarah
rukney ko kah raha tha magar rokta na tha

No comments:
Post a Comment